Saturday, May 18

To Dad


                                                                
Haath Pakad ke chalna sikhaya tha jisne, 
Sahi Galat ka farak samjhaya tha jisne,
Kahaniyan suna ke sabak sikhaya tha jisne, 
Har baar himmat deke uthaya tha jisne,
Woh saya aaj saath chod gaya, 
Woh saya jaane kahan gaya...

Mera pehla dost tha woh, 
Mera pehla hero tha woh,
Kahin mushkil agar aa jaaye mera pehla sahara tha woh,
Ajj kahan se laaun use na jaane kyun duur chala gaya hain woh,
Woh saya aaj saath chod gaya, 
Woh saya jaane kahan gaya...

Mere aaj bhi saath hain woh, 
Paas nahin toh kya par dil main humesha zinda hain woh,
Upar aaj bhi muskurata hain woh,  
Aashirwaad wahin se barsata hain woh,
Har baat main yaad aata hain jo, 
Kaash thoda aur waqt bita sakta woh,
Woh saya aaj saath chod gaya, 
Woh saya jaane kahan gaya...

No comments: